(3) بہشتی زیور درس مسلم Beshti Zewar Dars E Muslim

6 - وَلَقَدْ نَصَرَكُمُ اللَّهُ بِبَدْرٍ وَانْتُمْ أَذِلَّةٌ (الہٰی قُوْلُهُ) وَمَا جَعَلَهُ اللَّهُ إِلَّا بُشْرَى لَكُمُ . (1) Yeh ayat Ghazwah Uhud ke moqa par nazil hui hain, jin mein bataya gaya hai ke Ghazwah Badr ke moqa par Hazrat Muhammad (صلى الله عليه وسلم) ne aasmaani madad ki jo khushkhabri ba-tor peshgoi Musalmanon ko di thi woh Allah Ta'ala ki taraf se thi, liqouluhu تعالى: "وَمَا جَعَلَهُ اللَّهُ إِلَّا بُشْرَى لَكُمُ" halanke yeh khushkhabri poore Qur'an mein kahin zikar nahin, zahir hai ke yeh bhi aisi wahi ke zariye aayi thi jo Qur'an ke ilawa thi. وَإِذْ يَعِدُكُمُ اللَّهُ إِحْدَى الطَّائِفَتَيْنِ أَنَّهَا لَكُمْ. (2) Yeh ayat Ghazwah Badr ke baad nazil hui, jis mein Badr ke moqa par Allah Ta'ala ke kiye hue ek wada ka zikar hai, magar yeh wada poore Qur'an mein kahin bhi zikar nahin, zahir hai yeh bhi aisi wahi ke zariye aaya tha jo Qur'an ke ilawa thi. Itaat-e-Rasool ki farziyat - يَأَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ و...